Sufinama

milnaa thaa to mil jaate is nuur-e-mujarrad se

Muztar Khairabadi

milnaa thaa to mil jaate is nuur-e-mujarrad se

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    Interesting Fact

    آگرہ والی منی جان نے اس غزل پر اپنی آواز دی ہے جس کی خبر ’’ارمانِ وصل‘‘ نامی گلدستہ سے ملتی ہے۔

    milnaa thaa to mil jaate is nuur-e-mujarrad se

    kyuu.n jaa ke chale aa.e darbaar-e-mohammad se

    allaah ne baKHshii hai do-jahaa.n kii shahanshaahii

    jo kuchh mujhe lenaa hai le luu.ngaa mohammad se

    marqad se farishto.n tum chup-chaap chale jaa.o

    chhe.Daa jo mujhe tum ne kah duu.ngaa mohammad se

    ai baad-e-sabaa turbat-e-mohtaaj-e-marammat hai

    miTTii mujhe tho.Dii sii laa de dar-e-ahmad se

    rauze me.n mohammad ke ham ne to judaa dekhaa

    allaah kii aavaaze.n aa.ii.n usii gumbad se

    'muztar' mujhe marqad me.n taiba kii jo yaad aa.ii

    niklaa mai.n jigar thaame TuuTe hu.e marqad se

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 71)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now