baat hai ba.De qariine kii
baat hai ba.De qariine kii
aarzuu dil ko hai madiine kii
'itr-biizii kaa kyaa kahuu.n 'aalam
jism-e-aqdas ke us pasiine kii
tum ko dair-o-haram mubaarak ho
mujh ko ik dhun hai bas madiine kii
piinaa ne to san chukaa huu.n bahut
baat kuchh kiijiye madiine kii
zikr jannat bajaa magar vaa'iz
baat kuchh aur hai madiine kii
aap hii kaa Gulaam huu.n aaqaa
laaj rakh liijiye ki kahne kii
un kaa dar hai vo dar-jahaa.n 'KHushtar'
maut ko bhii talab hai jiine kii
baat hai ba.De qariine kii
aarzuu dil ko hai madiine kii
'itr-biizii kaa kyaa kahuu.n 'aalam
jism-e-aqdas ke us pasiine kii
tum ko dair-o-haram mubaarak ho
mujh ko ik dhun hai bas madiine kii
piinaa ne to san chukaa huu.n bahut
baat kuchh kiijiye madiine kii
zikr jannat bajaa magar vaa'iz
baat kuchh aur hai madiine kii
aap hii kaa Gulaam huu.n aaqaa
laaj rakh liijiye ki kahne kii
un kaa dar hai vo dar-jahaa.n 'KHushtar'
maut ko bhii talab hai jiine kii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.