mujhe kal apnii baKHshish kaa yaqii.n hai
mujhe kal apnii baKHshish kaa yaqii.n hai
mohabbat un kii dil me.n jaa-nashii.n hai
dar-e-ahmad pe ab merii jabii.n hai
mujhe kuchh fikr-e-do-'aalam nahii.n hai
mai.n huu.n aur yaad-e-sarkaar-e-madiina
ye duniyaa dil kii kis darja hasii.n hai
bahaare.n yuu.n to jannat me.n hai.n laakho.n
fazaa-e-dasht-e-taiba par nahii.n hai
mai.n vasf-e-maah-e-taiba kar rahaa huu.n
balaa se gar ko.ii chii.n-bar-jabii.n hai
'abas jaataa hai tuu Gairo.n kii jaanib
ki baab-e-rahmat-e-rahaimaa.n nahii.n hai
gunahgaaro na ghabraa.o ki apnii
shafaa'at ko shafii'-ul-muznabii.n hai
qariib-e-nafs me.n hamdam na aanaa
bache rahnaa ye maar-e-aastii.n hai
zaraa aahista chal au chalne vaale
ki is jaa 'aKHtar'-e-KHasta dafii.n hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.