KHudaa ne har kisii ko ik nayaa andaaz baKHshaa hai

kisii ko soz baKHshaa hai kisii ko saaz baKHshaa hai
'ataa kar ke kisii ko ra.ng-o-raunaq dil-kashii shoKHii
jamaal-o-husn kaa be-misl ik e'jaaz baKHshaa hai
tarannum se navaazaa hai kisii ko rabb-e-akbar ne
kisii ko maahir-e-fan KHushnumaa shahbaaz baKHshaa hai
gulo.n ko ra.ng-o-buu se kis qadar shaadaab rakhtaa hai
parindo.n ko 'ajab baal-o-par parvaaz baKHshaa hai
farishto.n ko adaa-e-bandagii sikhlaa.ii hai rab ne
magar huuro.n ko us ne suurat-e-shahnaaz baKHshaa hai
razaa.e rab jise chaahe 'ataa kar de nayaa mansab
usii ne har kisii ko zillat-o-e’zaaz baKHshaa hai
vafaa kaa ra.ng duniyaa me.n diyaa 'ushshaaq ko jis ne
hasiino.n ko usii ne dilbarii kaa naaz baKHshaa hai
kisii ko be-sahaaraa vo kabhii karataa nahii.n hargiz
zaruurat-mand ko us ne sadaa dam-saaz baKHshaa hai
vahii mahfuuz rakhtaa hai chubhan se KHaar kii lekin
jise gul kii tamannaa hai use gulnaaz baKHshaa hai
adaa kaise karuu.n mai.n shukr apne rabb-e-aa'zam kaa
mujhe jis ne bahut aa'laa hasii.n hamraaz baKHshaa hai
zamaane kii nazaakat ko bhalaa samjhe nahii.n kaise
dil-e-shaa’r ko qudrat ne su'uur-e-raaz baKHshaa hai
KHudaa chaahegaa to phir KHuub-tar anjaam bhii hogaa
mujhe zauq-e-suKHan kaa us ne jab aaGaaz baKHshaa hai
karuu.n kaise bayaa.n rab kii 'ataa-karda navaazish kaa
usii ne fan me.n KHud mansab mujhe mumtaaz baKHshaa hai
KHayaalii devtaa.o.n par kisii ko fakHr hai to kyaa
'Gazaalii' ko mohammad mustafaa par naaz baKHshaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.