na mujh se chhuuTegaa un kaa daaman na mujh ko bhuulegaa naam-e-ashraf

Ali Hussain Ashrafi
MORE BYAli Hussain Ashrafi
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت مخدوم اشرف جہاں گیر (کچھوچھہ، اتراپردیش)
na mujh se chhuuTegaa un kaa daaman na mujh ko bhuulegaa naam-e-ashraf
mai.n banda-e-be-diram huu.n un kaa azal se huu.n mai.n Gulaam-e-ashraf
mai.n un kii mid.hat bayaa.n karuu.n kyaa ki saare aalam me.n hai ye shohrat
mujaddid-e-vaqt thaa jahaa.n me.n buland-tar hai maqaam-e-ashraf
unhii.n kii mahbuubiyat kaa naa'ra-e-malaa.ika ne falak pe maaraa
zamii.n hii ye shaan-e-Gaus-e-a.alam falak pe vo ehtiraam-e-ashraf
janaab ke vaalid mua'zzam ne KHvaab me.n dekhaa ki mustafaa
ye dii bashaarat ki ham ne rakhaa hai naam un kaa banaam-e-ashraf
zamii.n pe rauza hai yaa falak par kuchh us kii rif.at pe kah rahii hai
ko.ii falak kaa hai ye jo Tuk.Daa jahaa.n banaa hai maqaam-e-ashraf
jo vahdat-e-aabaad jaa-e-KHalvat to kasrat-e-aabaad jaa-e-jalvat
kahii.n hai vahdat kahii.n hai kasrat ajab hai dilkash nizaam-e-ashraf
jo ruuh-e-aabaad jaa ke dekho to sair-e-ruuhii kaa lutf aa.e
jo baiTho daar-ul-amaa.n me.n jaa kar to paa.o daa.n faiz-e-aam-e-ashraf
bane jahaa.ngiir Gaus-e-'aalam jahaa.n ke auliyaa ke afsar
valii zamaane ke zer-e-farmaa.n mutii.a-e-ahkaam-e-aam-e-ashraf
kisii ne taariiKH arsh-e-akbar banaa-e-rauza kii kHuub likhii
hamaarii nazro.n se ko.ii dekhe falak se baalaa-e-baam-e-ashraf
adaalat-e-sub.h-o-shaam dekhe jo ko.ii darbaar-e-ashrafii me.n
to bol uThe ki allaahu allaahu ajiib hai intizaam-e-ashraf
kahii.n to janaab jal rahe hai.n kahii.n kHabbaa.is ta.Dap rahe hai.n
kisii ke sar boltaa hai jaaduu likhuu.n mai.n kyaa faiz-e-ilam-e-ashraf
charaaG rauza se le ke kaajal lagaa.e.n aa.nkho.n me.n apne a.amaa
to aa.nkhe.n ho jaa.e.n un kii raushan ye hai karaamaat-e-aam-e-ashraf
ye chashma-e-nayyar gard-e-rauza baab-e-shifaa-o-saaf jaarii
mariiz piite hii hoe.n achchhe ayaa.n ye faiz-e-aam-e-ashraf
savaaro kaa.ii ko nayyar ke bhii KHudaa ne baKHshii hai ye karaamat
ki har maraz kii yahii davaa hai banaa hai har ik Gulaam-e-ashraf
ye KHaak-e-rauza me.n hai tasarruf ki jis ko lete hai.n ahl-e-haajat
mariiz achchhe ho.n jis se laakho.n ajab hai ye faiz-e-aam-e-ashraf
zamii.n se taa-aasmaa.n jo dekhaa ajiib qudrat kaa hai tamaasha
yahaa.n zamiin par vahaa.n falak par kha.De hu.e hai.n KHiyaam-e-ashraf
ummiid-e-luft-o-karam pe tere mai.n arz-e-haajat jo kar rahaa huu.n
kaaro tavajjoh zaraa idhar bhii ki le rahaa huu.n mai.n naam-e-ashraf
ghuse jo gustaakH-o-be-adab tumhaare darbaar-e-baa-safaa me.n
nikaalnaa jald us ko hazrat karegaa badnaam naam-e-ashraf
adab se jis ne ki ruKH ko pheraa Gazab kaa mu.nh par lagaa tamaa.ncha
jalaal-o-jabruut shah kaa dekho ajab hai 'aalii-maqaam-e-ashraf
agar kisii taalib-e-KHudaa par zaraa tavajjoh hu.ii to hardam
kahegaa mad.hosh kar chukaa hai mujhe do-a.alam se jaam-e-ashraf
bhalaa.ii ko.ii ashrafii se puuche ki shaah 'ashrafii' kii shaan kyaa hai
kahegaa vahm-o-gumaa.n se mere buland hai ehtishaam-e-ashraf

- Book : Sah Mahi Hazrat Bilal, Kolkata (Pg. 104)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.