Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHudaa-e-paak ke valii imaam-e-mujtabaa hasan

Nasir Maneri

MORE BYNasir Maneri

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت امام حسن (مدینہ۔سعودی عربیہ)

    KHudaa-e-paak ke valii imaam-e-mujtabaa hasan

    hai.n mustafaa kii ik kalii imaam-e-mujtabaa hasan

    vo faatima ke dil kaa chain aur nuur-e-ain hai.n

    hai.n shaahzaada-e-alii imaam-e-mujtaba hasan

    biraadar-e-husain hai.n vo momino.n kii jaan hai.n

    hai.n diin-e-haq ke ik valii imaam-e-mujtabaa hasan

    nabii ke qaul par amal kiyaa sulh karaa diyaa

    hai.n ahl-e-aman-o-aashtii imaam-e-mujtaba hasan

    nabii-e-paak kii hadiis-e-paak me.n bhii hai yahii

    hai.n sarbaraah jannatii imaam mujtabaa husn

    sahaaba ahl-e-bait dono.n se mohabbate.n karo

    tumhaaraa daras thaa yahii imaam-e-mujtabaa hasan

    zaraa karam ho 'naasir' manrerii pe bhii aap kaa

    dikhaa.o apnaa dar kabhii imaam-e-mujtabaa hasan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now