Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

rahaa dil me.n mere KHayaal-e-mohammad

Nasr Phulwarwi

rahaa dil me.n mere KHayaal-e-mohammad

Nasr Phulwarwi

MORE BYNasr Phulwarwi

    rahaa dil me.n mere KHayaal-e-mohammad

    KHudaa mujh ko deve visaal-e-mohammad

    ilaahii ye aa.nkhe.n mirii kaam aave.n

    ki dekhuu.n mai.n in se jamaal-e-mohammad

    rasuulo.n kaa sardaar haq ne banaayaa

    na paayaa kisii ne kamaal-e-mohammad

    jahaa.n me.n na aisaa hu.aa hai na hogaa

    nahii.n hai jahaa.n me.n misaal-e-mohammad

    Gulaamii me.n ho rutba-e-‘nasr’ aisaa

    kahe KHalq us ko bilaal-e-mohammad

    rahaa dil me.n mere KHayaal-e-mohammad

    KHudaa mujh ko deve visaal-e-mohammad

    ilaahii ye aa.nkhe.n mirii kaam aave.n

    ki dekhuu.n mai.n in se jamaal-e-mohammad

    rasuulo.n kaa sardaar haq ne banaayaa

    na paayaa kisii ne kamaal-e-mohammad

    jahaa.n me.n na aisaa hu.aa hai na hogaa

    nahii.n hai jahaa.n me.n misaal-e-mohammad

    Gulaamii me.n ho rutba-e-‘nasr’ aisaa

    kahe KHalq us ko bilaal-e-mohammad

    Source :
    • Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 49)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now