Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dikhaa diidaar hazrat Gaus-e-aa'zam

Niyaz Wazirabadi

dikhaa diidaar hazrat Gaus-e-aa'zam

Niyaz Wazirabadi

MORE BYNiyaz Wazirabadi

    Interesting Fact

    منقبت درشان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)

    dikhaa diidaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    saKHii sarkaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    jo tujh pe jalva-gar hai zaat-e-rabbii

    KHafii asraar hazrat Gaus-e-aa'zam

    hu.e baGdaad ke sultaan-e-vilaayat

    zahe muKHtaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    hamaa naasuut se laahuut tak hai

    tiraa iz.haar hazrat Gaus-e-aa'zam

    'ayaa.n hai ganj-e-maKHfii qaadriya

    tiraa asraar hazrat Gaus-e-aa'zam

    KHabar le ai masiihaa jaa.nbalab huu.n

    tiraa biimaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    'inaayat yaa muhii.uddiin qaadir

    mire Gam-KHvaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    kha.De hai.n sar-niguu.n insaa.n malaa.ik

    tire darbaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    miyaa.n kis shauq se aate hai.n darvesh

    tire darbaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    'niyaaz' ab hai tamannaa ho zabaa.n se

    ravaa.n guftaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    dikhaa diidaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    saKHii sarkaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    jo tujh pe jalva-gar hai zaat-e-rabbii

    KHafii asraar hazrat Gaus-e-aa'zam

    hu.e baGdaad ke sultaan-e-vilaayat

    zahe muKHtaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    hamaa naasuut se laahuut tak hai

    tiraa iz.haar hazrat Gaus-e-aa'zam

    'ayaa.n hai ganj-e-maKHfii qaadriya

    tiraa asraar hazrat Gaus-e-aa'zam

    KHabar le ai masiihaa jaa.nbalab huu.n

    tiraa biimaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    'inaayat yaa muhii.uddiin qaadir

    mire Gam-KHvaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    kha.De hai.n sar-niguu.n insaa.n malaa.ik

    tire darbaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    miyaa.n kis shauq se aate hai.n darvesh

    tire darbaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    'niyaaz' ab hai tamannaa ho zabaa.n se

    ravaa.n guftaar hazrat Gaus-e-aa'zam

    Source :
    • Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 22)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now