nuur-e-yazdaa.n hai saraapaa kHvaaja-e-ajmer kaa

Syed Amjad Hussain
MORE BYSyed Amjad Hussain
Interesting Fact
منقبت در شان خواجہ معین الدین حسن چشتی (اجمیر-راجستھان)
nuur-e-yazdaa.n hai saraapaa kHvaaja-e-ajmer kaa
hai muqaddar mujh ko sadqa kHvaaja-e-ajmer kaa
mujh ko haasil hai sahaaraa kHvaaja-e-ajmer kaa
dil banaa hai zauq-e-KHaana kHvaaja-e-ajmer kaa
do-jahaa.n me.n bol baalaa kHvaaja-e-ajmer kaa
'arsh tak jaataa hai rutba kHvaaja-e-ajmer kaa
be-kaso.n kii bebasii ko mil gayaa hai ik sukuu.n
jab se dekhaa dar suhaanaa kHvaaja-e-ajmer kaa
panjtan ke baaG kaa vo phuul hai sab se judaa
jhuum uThtaa hai divaana kHvaaja-e-ajmer kaa
aastaa.n par aa gayaa jo sar jhukaa.e aaj bhii
us ne paayaa hai KHazaana kHvaaja-e-ajmer kaa
'amjad' ab us kii 'ataa kaa kyaa karu.n mai.n shukriya
dil me.n raushan hai sitaara kHvaaja-e-ajmer kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.