sarvar-e-dii.n kii mohabbat me.n jo nikle aa.nsuu

kaam mahshar me.n vahii aa.e hamaare aa.nsuu
kaash vo din bhii muqaddar ho kabhii ham bhii kahii.n
sabz-gumbad kii jhalak dekh ke chhalke aa.nsuu
baKHshisho.n ke liye sarkaar ba-roz-e-mahshar
apnii ummat ke liye tum ne nikaale aa.nsuu
jo gunaaho.n se pashemaan hu.aa phirtaa hai
us pe laazim hai ki vo KHuub bahaa.e aa.nsuu
sar jhukaa.e hu.e shaahaan-e-jahaa.n rote hai.n
un kii dahliiz pe bahte hai.n sabhii ke aa.nsuu
raa.egaa.n jaa nahii.n sakte vo kabhii bhii 'amabar'
hijr-e-sarkaar-e-madiina me.n jo chhalke aa.nsuu

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.