vo kaun log hai.n jo zamaane pe chhaa.e hai.n

jo dil dar-e-rasuul se har dam lagaa.e hai.n
mahshar me.n sab kii laaj bachaa.e.nge soch kar
bas aas mustafaa ke karam se lagaa.e hai.n
vaajib hu.ii hai un pe shafaa'at huzuur kii
turbat mire rasuul kii jo dekh aa.e hai.n
mumkin nahii.n hamaarii lahad me.n ho.n zulmate.n
ham ne charaaG-e-'ishq dilo.n me.n jalaa.e hai.n
ai diin-e-paak terii hifaazat ke vaaste
ibn-e-'alii ne chaa.nd se beTe kaTaa.e hai.n
KHairaat lene faatima zahraa ke laal kii
darvaaza-e-'alii pe gunahgaar aa.e hai.n
zikr nabii ke vaaste 'amabar' KHudaa gavaah
sho'raa tamaam bazm me.n tashriif laa.e hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.