kyaa kisii ne mire sarkaar saa maljaa dekhaa

us ko siine se lagaayaa jise rotaa dekhaa
mere sarkaar ne allaah kaa jalva dekhaa
laa-makaa.n me.n bhii ga.e qasr-e-danaa kaa dekhaa
vaah buu-bakr-o-'omer KHuub ai 'usmaan-o-'alii
baa'd sarkaar-e-faziilat me.n na tum saa dekhaa
pe.D-paude ho.n mah-o-KHur ho.n yaa ka.nkar-patthar
sab ko aaqaa ke ishaaro.n pe machaltaa dekhaa
ai 'alii aap ke us zauq-e-basaarat ko salaam
aa.e duniyaa me.n to pahle vahii chehra dekhaa
KHuub dekhe yahaa.n hassaan-o-razaa ke jalve
mahfil-e-naa't me.n mid.hat kaa ujaalaa dekhaa
roz aate hai.n jahaa.n bahr-e-salaamii qudsii
ham ne duniyaa me.n faqat shahr-e-madiina dekhaa
naar-e-dozaKH me.n bhii jalnaa hai muqaddar us kaa
buGz-e-sarkaar me.n jis shaKHs ko jaltaa dekhaa
us pe qurbaan mirii aa.nkhe.n ki jis ne 'amabar'
haalat-e-iimaan me.n sarkaar kaa chehra dekhaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.