Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nabii-e-paak kaa sadqa zamii.n se aasmaa.n tak hai

Owais Raza Amber

MORE BYOwais Raza Amber

    nabii-e-paak kaa sadqa zamii.n se aasmaa.n tak hai

    unhii.n ke naam kaa raqba zamii.n se aasmaa.n tak hai

    har ik maKHluuq un ke saayaa-e-rahmat me.n rahtii hai

    rasuulullaah kaa saaya zamii.n se aasmaa.n tak hai

    jise rab ne banaayaa maalik-o-muKHtaar duniyaa kaa

    usii mahbuub kaa jalva zamii.n se aasmaa.n tak hai

    faqat jinn-o-bashar kyaa huur-o-Gilmaa.n chaa.nd taare kyaa

    mire sarkaar kaa charchaa zamii.n se aasmaa.n tak hai

    ba-fazl-e-haq nizaam un ko milaa hai bazm-e-hastii kaa

    asar un kii hukuumat kaa zamii.n se aasmaa.n tak hai

    kahii.n jibriil ne bhii aap-saa dekhaa nahii.n ko.ii

    agarche roz kaa daura zamii.n se aasmaa.n tak hai

    shab-e-asraa kaa 'amabar' vaaqi’a mujh ko bataataa hai

    rasuul-e-paak kaa jaanaa zamii.n se aasmaa.n tak hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now