pa.Dh rahaa thaa kal tak jo zohd kaa maqaala shaiKH

Zaheen Shah Taji
MORE BYZaheen Shah Taji
pa.Dh rahaa thaa kal tak jo zohd kaa maqaala shaiKH
ho gayaa hai rindo.n kaa aaj ham-piyaala shaiKH
us taraf gayaa vaa.iz shaiKH is taraf aayaa
ban gayaa haqiiqat me.n shaaKH kaa imaala shaiKH
ek saaGar-e-shaffaaf siina aa.iina-e-dil saaf
nafs ke zamaa.im kaa farz hai izaala shaiKH
chho.D kar haram aisii jaa.idaad-e-baa-tauqiir
le rahaa hai saaqii se dair kaa qabaala shaiKH
mai-kade me.n aate hii aa.gaye tamaam aadaab
pii rahaa hai saaqii ke jaam kaa Gassaala shaiKH
daavat-e-gazak radd ho ye gunaah-e-shara.ii hai
ehtiyaat-e-taqva hai ek do nivaala shaiKH
fatah uzr-e-mastii ne paa.ii uzr-e-shara.ii par
kar sakaa na rindo.n se hiila-o-havaala shaiKH
le 'zahiin' se ko.ii jaam-e-aatish-tar tar le
aag aur paanii kaa dekh istihaala shaiKH

- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.