aa.nkh vo hai jis ne dekhaa ruu-e-taabaan-e-rasuul

aur dil vo hai ki jis dil me.n ho armaan-e-rasuul
marhabaa sad-marhabaa duniyaa-e-'irfaa.n ke liye
abr-e-rahmat ban ke aayaa zill-e-daamaan-e-rasuul
naa't kii is 'aalam-e-imkaa.n me.n vus'at hii nahii.n
kyuu.nki baalaa hai hadd imkaa.n se imkaan rasuul
jis kii qismat me.n hai jo lazzat vo miltii hai use
sai.nka.Do.n dil hai.n hadaf aur ek paikaan-e-rasuul
haq ne parvaano.n ko dii aazaadii-e-dair-o-haram
mai.n azal se huu.n asiir-e-zulf-e-pechaan-e-rasuul
dono.n 'aalam jaante hai.n dono.n 'aalam hai.n gavaah
mai.n azal se aa chukaa huu.n zer-e-daamaan-e-rasuul
tishna kaamo.n ke liye tasniim kyaa firdaus kyaa
ye bhii faizaan-e-nabii hai vo bhii faizaan-e-rasuul
is ko kahte hai.n tajassus us ko kahte hai.n talaash
qasr me.n jannat ke niklaa jaake mehmaan-e-rasuul
iltijaa hai qaatil-e-be-KHaanumaa.n kii ai KHudaa
ho gul-o-bulbul se paa.indaa gulistaan-e-rasuul

- Book : Diwan-e-Qatil (Pg. 258)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.