zii-karam ziishaan hai.n KHvaaja piyaa
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
zii-karam ziishaan hai.n KHvaaja piyaa
hind ke sultaan hai.n KHvaaja piyaa
shaareh-e-irshaad paak-e-mustafaa
naashir-e-qur.aan hai.n KHvaaja piyaa
Gaus me.n abdaal hai.n autaad hai.n
shaah aur sultaan hai.n KHvaaja piyaa
dekh luu.n mai.n chuum luu.n mai.n aap ko
aise bhii armaan hai.n KHvaaja piyaa
vo na aate to hamaaraa hotaa kyaa
sun hamaarii jaan hai.n KHvaaja piyaa
intiKHaab kHvaaja-e-kaunain hai.n
vaah kyaa ziishaan hai.n KHvaaja piyaa
'aalam islaam kii haidar hazii.n
aan-o-baan-o-shaan hai.n KHvaaja piyaa
zii-karam ziishaan hai.n KHvaaja piyaa
hind ke sultaan hai.n KHvaaja piyaa
shaareh-e-irshaad paak-e-mustafaa
naashir-e-qur.aan hai.n KHvaaja piyaa
Gaus me.n abdaal hai.n autaad hai.n
shaah aur sultaan hai.n KHvaaja piyaa
dekh luu.n mai.n chuum luu.n mai.n aap ko
aise bhii armaan hai.n KHvaaja piyaa
vo na aate to hamaaraa hotaa kyaa
sun hamaarii jaan hai.n KHvaaja piyaa
intiKHaab kHvaaja-e-kaunain hai.n
vaah kyaa ziishaan hai.n KHvaaja piyaa
'aalam islaam kii haidar hazii.n
aan-o-baan-o-shaan hai.n KHvaaja piyaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.