rasuulullaah se nisbat pe qismat naaz kartii hai

dar-e-aqdas ke sajdo.n par ibaadat naaz kartii hai
tumhaarii zaat-e-vaalaa se sharaf hai nasl-e-aadam ko
tumhii vo ho ki jis par aadamiyat naaz kartii hai
sharaafat hii sharaafat thii mukammal zindagii jis kii
usii par ab bhii duniyaa-e-sharafat naaz kartii hai
kahe.n kyaa us kii paakii ke liye alfaaz aajiz hai.n
ki jiske ghar ke logo.n par tahaarat naaz kartii hai
tumhaarii paak siirat ne dikhaa.e hai.n maqaam aise
jahaa.n insaan par insaa.n kii azmat naaz kartii hai
mere isyaa.n ne daaman meraa baa.ndhaa us ke daaman se
ki jis kii zaat-e-aqdas par shafaa.at naaz kartii hai
vo dekho jam.a hai.n sab ambiyaa maidaan-e-mahshar me.n
unhii.n me.n vo bhii hai jis par risaalat naaz kartii hai
ik insaa.n aur phir itne mukammal KHadd-o-KHaal us ke
hasii.n mu.nh tak rahe hai.n aur qudrat naaz kartii hai
mai-e-hubb-e-nabii kaa kaif ho jaataa hai jab 'kaamil'
mohabbat karne vaale par mohabbat naaz kartii hai

- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 136)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.