roz-e-azal KHaaliq ne jaarii pahlaa ye farmaan kiyaa

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
roz-e-azal KHaaliq ne jaarii pahlaa ye farmaan kiyaa
un ko banaa kar shaah-e-rasuulaa.n do jag kaa sultaan kiyaa
nok-e-qalam se 'arsh-e-barii.n par haq ne likhaa jab naam-e-nabii
kaun-o-makaa.n kii har 'azmat kaa hazrat ko 'unvaan kiyaa
shaan-e-abul-qaasim dekho to rabb-e-jahaa.n ne duniyaa me.n
pahle qur.aa.n vaalaa bhejaa phir naazil qur.aan kiyaa
bhej ke ham me.n mahbuub apnaa diin ke nukte samjhaa.e
parde-parde me.n ummat kii baKHshish kaa saamaan kiyaa
aa.nkhe.n ro.ii.n hijr-e-nabii me.n ashko.n kii barsaat hu.ii
'ishq ne lamha-lamha dil me.n paidaa ik haijaan kiyaa
un kaa vasiila rab kii rahmat kaa hiila ban jaataa hai
nuuh kii nayyaa paar lagaa.ii mushkil ko aasaan kiyaa
zulm-o-sitam kaa daur gayaa tafriiq-o-takabbur KHatm hu.e
'adl-o-musaavaat aur uKHuvvat ko juzv-e-iimaan kiyaa
laa tasriiba ’alaikum kah kar baKHsh diyaa har mujrim ko
fat.h-e-makka ke din apnii rahmat kaa e’laan kiyaa
diin us kaa duniyaa bhii us kii har shai us kii muTThii me.n
jis ne un ke naam par apnaa tan-man dhan qurbaan kiyaa
jaalii chuumii 'arz guzaarii ashk bahaa.e naa't pa.Dhii
ham ne madiine jaa kar dil kaa puuraa har armaan kiyaa
Gam ke bha.nvar se paar lagaayaa shaah-e-'arab ne kashtii ko
har ma.njdhaar kaa relaa rokaa KHatm har ik tuufaan kiyaa
sadqe jaa.uu.n 'nasiir' us aaqaa us maulaa kii rahmat par
raah dikhaa kar is dar kii mujh nirdhan par ehsaan kiyaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.