sab naam hai.n gum jis me.n vo hai naam KHudaa kaa
Interesting Fact
مرقومہ : جنوری 1966ء، کراچی
sab naam hai.n gum jis me.n vo hai naam KHudaa kaa
ye kaam hai vo kaam hai har kaam KHudaa kaa
masjuud kahii.n Gair na ma.abuud kahii.n Gair
banda hai ik banda-e-asnaam KHudaa kaa
but-kHaana-e-'aalam me.n hai har but-sifat us kii
taa'ziim buto.n kii bhii hai ikraam KHudaa kaa
aaGaaz usii se hai har anjaam usii se
aaGaaz KHudaa kaa hai na anjaam KHudaa kaa
har naama haqiiqat me.n yahaa.n nama-e-haq hai
har ra.ng me.n paiGaam hai paiGaam KHudaa kaa
allaah ke naamo.n kaa ihaata nahii.n mumkin
har chiiz hai yaa.n ek nayaa naam KHudaa kaa
har aan ke dil me.n hai amaanat suKHan-e-haq
har chiiz yahaa.n laa.ii hai paiGaam KHudaa kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.