gar nigaah-e-rasuul ho jaa.e
gar nigaah-e-rasuul ho jaa.e
rahmato.n kaa nuzuul ho jaa.e
chho.D kar sab jahaan kii baate.n
aa.o zikr-e-rasuul ho jaa.e
jaa ke taiba me.n raasta bhuulo.n
kaash mujh se ye bhuul ho jaa.e
jo bhii pii le sharaab-e-'ishq-e-nabii
haa.n vahii baa-usuul ho jaaye
hasrat-e-dil kii har kalii aaqaa
aap chaahe.n to phuul ho jaa.e
ho ziyaarat 'sabaa' madiine kii
ye du'aa bhii qubuul ho jaa.e
gar nigaah-e-rasuul ho jaa.e
rahmato.n kaa nuzuul ho jaa.e
chho.D kar sab jahaan kii baate.n
aa.o zikr-e-rasuul ho jaa.e
jaa ke taiba me.n raasta bhuulo.n
kaash mujh se ye bhuul ho jaa.e
jo bhii pii le sharaab-e-'ishq-e-nabii
haa.n vahii baa-usuul ho jaaye
hasrat-e-dil kii har kalii aaqaa
aap chaahe.n to phuul ho jaa.e
ho ziyaarat 'sabaa' madiine kii
ye du'aa bhii qubuul ho jaa.e
- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 128)
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.