Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aap Gariibo.n ke Gariib aap ke Gariib-navaaz

Sabir Pasha

MORE BYSabir Pasha

    Interesting Fact

    منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)

    aap Gariibo.n ke Gariib aap ke Gariib-navaaz

    hai.n kitne KHush-nasiib ham yaa-Gariib-navaaz

    paivast ham ko rab ne kiyaa hai tumhaare saath

    shukr hai rabb-e-qaadir kaa yaa-Gariib-navaaz

    jiyaa bhii jaa.e nahii.n ab to ham asiiro.n se

    karam ho kHvaajgaan-e-chisht kaa yaa-Gariib-navaaz

    tumhaare sivaa jaa.e.n kahaa.n na hai ko.ii zamaane me.n

    bhaag khule ham tumhaare kahlaa.e yaa-Gariib-navaaz

    sadqa-e-’usmaan kaa hai anmol ye 'ataa-e-rasuul

    har ra.ng hai maujuud ra.ng-e-ajmerii me.n yaa-Gariib-navaaz

    zarre zarre kii chamak aaftaab hai 'saabir'

    hai ye raushan-e-zamaa.n aap se mahtaab yaa-Gariib-navaaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now