ham Gariibo.n mufliso.n ke aap jo daataa hu.e

Saddam Hussain Nazan
MORE BYSaddam Hussain Nazan
ham Gariibo.n mufliso.n ke aap jo daataa hu.e
daam-e-Gurbat se rihaa ham log bhii aaqaa hu.e
un kii jaanib ba.Dhne vaale bhaa ga.e allaah ko
duur un se hone vaale chaar suu rusvaa hu.e
kar diyaa apne karam se aap ne ham ko zabar
zer-e-paa ham aap ke jo sayyad vaalaa hu.e
tiirgii me.n jii rahe the aap ke sadqe huzuur
diin kii paa kar ziyaa ham log taabinda hu.e
ambiyaa me.n avval-o-aaKHir unhii kii zaat hai
fakHr aadam jaan 'iisaa vaalii-e-bat.haa hu.e
jin ko maulaa ne banaayaa shaafe’-e-yaumun-nushuur
hauz-e-kausar ke vahii qaasim hu.e aaqaa hu.e
aap hai.n vo aap hai.n shaah-e-madiina aap hai.n
jin kii e.Dii kii chamak se taare raKHshanda hu.e
KHaaliq akbar ne taiba ko kiyaa daarushshifaa
aamna ke laaDle jab daaKHil-e-taiba hu.e
us muqaddas ghar kii 'azmat kyaa hai jaane kibriyaa
jis muqaddas ghar me.n paidaa saahib-e-asraa hu.e
aasmaa.n manzil banaa farzand-e-mariyam kii magar
laa-makaa.n par jalva-gar kaunain ke nausha hu.e
ho rasuul-e-haashmii ab lamha-e-vaslat 'ataa
furqat-e-taiba ke haatho.n jiite jii murda hu.e
saahib-e-rif'at kiyaa 'naazaa.n' unhe.n allaah ne
kul rusul kul ambiyaa se shaah-e-dii.n 'aalaa hu.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.