sadaa-e-marhabaa guu.njii shah-e-abraar aayaa hai

Saddam Hussain Nazan
MORE BYSaddam Hussain Nazan
sadaa-e-marhabaa guu.njii shah-e-abraar aayaa hai
zamii.n par ban ke rahmat naa.ib-e-Gaffaar aayaa hai
KHudaa-e-paak kii jaanib se dastuur-e-'amal ban kar
hukuumat karne saare dahr par sarkaar aayaa hai
sahii jaatii nahii.n hai be-qaraarii aa.nkho.n kii jaanaa.n
uThaa.e.n ruKH se parda taalib-e-diidaar aayaa hai
hu.aa jaataa hai jis ko dekh kar diivaana har ko.ii
'arab kii sarzamii.n par aisaa ik dildaar aayaa hai
siyaahii chhaT ga.ii saaraa zamaana ho gayaa raushan
zamii.n par nuur-e-vahdat kaa hasii.n shahkaar aayaa hai
kahegaa yak-zabaa.n ho kar qayaamat me.n ye har ko.ii
shafaa.at kiijiye sarkaar ik bad-kaar aayaa hai
qadam taiba me.n rakhaa jab ai naazaa.n ye nidaa aa.ii
jhukaa lo apnii nazro.n ko dayaar-e-yaar aayaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.