mahbuub hai.n hamaare nabii zul-jalaal ke

tauqiir un kii 'aalaa hai.n rutbe kamaal ke
laa'l-o-gohar kaa zikr vo karte nahii.n kabhii
zarre 'ataa hu.e jinhe.n un kii na’aal ke
qismat pe un kii merii bhii qismat nisaar hai
jin ko nabii ne rakkhaa hai qadmo.n me.n Daal ke
sadqa agar na miltaa use hasan shaah kaa
charche na hote aaj yuu.n husn-e-hilaal ke
mujh ko hisaar lutf me.n rakhte hai.n mustafaa
hai.n duur mujh se is liye lamhe zavaal ke
apne to apne kahte hai.n aGyaar bhii yahii
atvaar KHuub-ruu hai.n shah-e-KHush KHisaal ke
aate hai.n jis me.n har gha.Dii sardaar-e-ambiyaa
girviida ham bhii hai.n usii raushan KHayaal ke
ho jaa.e fan pe maah-e-'arab kii jo ik nazar
ash'aar na.at ke ho.n mire bhii kamaal ke
phirtaa hai le ke hijr kaa Gam dar-ba-dar huzuur
'naazaa.n' ko bhii 'ataa kare.n lamhe visaal ke

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.