Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hazrat-e-hurr ke muqaddar ko ujaalaa kar diyaa

Shakeel Anwar

hazrat-e-hurr ke muqaddar ko ujaalaa kar diyaa

Shakeel Anwar

MORE BYShakeel Anwar

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت امام حسین (کربلا-عراق)

    hazrat-e-hurr ke muqaddar ko ujaalaa kar diyaa

    nisbat-e-shabbiir ne adnaa ko a.alaa kar diyaa

    ai husain ibn-e-'alii terii niraalii shaan hai

    'azmat-e-islaam ko tuu ne do-baalaa kar diyaa

    sajda-e-shabbiir ke rutbe ko ho.n laakho.n salaam

    karbalaa ko ek sajde ne mua.allaa kar diyaa

    sar kaTaa kar ghar luTaa kar hazrat-e-shabbiir ne

    diin-e-haq kaa do-jahaa.n me.n bol-baalaa kar diyaa

    raah-e-haq me.n KHuun de kar faatima ke laal ne

    karbalaa ke 'azm ko koh-e-himaala kar diyaa

    nisbat-e-aal-e-nabii kii shaan ye hai ai 'shakiil'

    qalb-e-pazmurda ko bhii jis ne mujalla kar diyaa

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 109)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now