jazb hai taabish-e-nazar KHatm-e-rusul kii zaat me.n

Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
jazb hai taabish-e-nazar KHatm-e-rusul kii zaat me.n
aa.ii jo ban ke sham-e’-haq anjuman-e-hayaat me.n
fard-e-gunaah par mirii rashk hai ahl-e-hashr ko
kis ne chhupaa liyaa mujhe daaman-e-iltifaat me.n
jis ke faroG kii hu.ii Gaar-e-hiraa se ibtidaa
phail ga.ii vo raushnii ’arsa-e-shash-jihaat me.n
chehra-e-taab-naak par raqs-e-tabassum-e-sahr
jalva-e-zulf kii qasam din kii jhalak hai raat me.n
monis-e-dard-e-be-kasaa.n tere KHayaal ke nisaar
mil ga.ii daulat-e-sukuu.n kashmakash-e-hayaat me.n
vo to husain-e-badr ne dars-e-vafaa diyaa 'shakiil'
varna kisii kaa kaun thaa Gam-kada-e-hayaat me.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.