Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

zahe jalva-e-be-misaal-e-mohammad

Shakeel Badayuni

zahe jalva-e-be-misaal-e-mohammad

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    zahe jalva-e-be-misaal-e-mohammad

    KHudaa KHud hai mahv-e-jamaal-e-mohammad

    qadam chuum letaa hai 'arsh-e-barii.n tak

    ye hai shaan-e-auj-e-kamaal-e-mohammad

    na duniyaa kii hasrat na 'uqbaa kii chaahat

    bas ik aarzuu-e-visaal-e-mohammad

    jamaal-e-haqiiqat jamaal-e-KHudaa hai

    jamaal-e-KHudaa hai jamaal-e-mohammad

    KHudaa kii qasam us kii mushkil ho aasaa.n

    jo mushkil me.n kar le KHayaal-e-mohammad

    azal se abad tak har ik dil me.n qaa.im

    KHushaa-’azmat-e-laa-zavaal-e-mohammad

    KHataa har gunahgaar kii haq ne baKHshii

    na dekhaa gayaa infi’aal-e-mohammad

    'shakiil' apnii hastii pe hai naaz mujh ko

    ki huu.n zer-e-daamaan-e-aal-e-mohammad

    zahe jalva-e-be-misaal-e-mohammad

    KHudaa KHud hai mahv-e-jamaal-e-mohammad

    qadam chuum letaa hai 'arsh-e-barii.n tak

    ye hai shaan-e-auj-e-kamaal-e-mohammad

    na duniyaa kii hasrat na 'uqbaa kii chaahat

    bas ik aarzuu-e-visaal-e-mohammad

    jamaal-e-haqiiqat jamaal-e-KHudaa hai

    jamaal-e-KHudaa hai jamaal-e-mohammad

    KHudaa kii qasam us kii mushkil ho aasaa.n

    jo mushkil me.n kar le KHayaal-e-mohammad

    azal se abad tak har ik dil me.n qaa.im

    KHushaa-’azmat-e-laa-zavaal-e-mohammad

    KHataa har gunahgaar kii haq ne baKHshii

    na dekhaa gayaa infi’aal-e-mohammad

    'shakiil' apnii hastii pe hai naaz mujh ko

    ki huu.n zer-e-daamaan-e-aal-e-mohammad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now