dil-rubaa hai kis qadar shaan-e-jamaal-e-Gaus-e-paak

Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
Interesting Fact
منقبت در شان غوچ پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
dil-rubaa hai kis qadar shaan-e-jamaal-e-Gaus-e-paak
hai jahaa.n shaidaa-e-husn-e-be-misaal-e-Gaus-e-paak
aa.nkh ke pardo.n me.n be-parda nazar aane lagii
hai pas-e-aa.iina tasviir-e-jamaal-e-Gaus-e-paak
sar jhukaate hai.n qadam par un ke qutub-o-auliyaa
hai musallam dahr me.n jaah-o-jalaal-e-Gaus-e-paak
mai-kada-e-jiilaa.n hai faiz saaqii-e-tasniim se
hai zuhuur-e-KHuld sahbaa-e-visaal-e-Gaus-e-paak
hai abad aasaar un kaa eqtidaar-e-Gausiyat
ahl-e-'irfaa.n me.n nahii.n ko.ii misaal-e-Gaus-e-paak
un ke ikraam-o-'ataayaa.n kam na ho.nge taa-abad
rahtii duniyaa tak hai faiz-e-laa-zavaal-e-Gaus-e-paak
nuur-e-'irfaa.n se hai siina par madiina kaa gumaa.n
jalva-farmaa dil me.n hai paiham kHayaal-e-Gaus-e-paak
jazb hai shakl-e-maliih-e-mustafaa dil me.n 'shakiil'
huu.n namak parvard-e-juud-o-navaal-e-Gaus-e-paak

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.