aa ga.e ahmad-e-muKHtaar madiine vaale
aa ga.e ahmad-e-muKHtaar madiine vaale
ham Gariibo.n ke madad-gaar madiine vaale
apne jaisaa nahii.n kahnaa bashar ai logo
saare nabiyo.n ke hai.n sardaar madiine vaale
hai tamannaa ki kabhii gumbad-e-kHazraa dekhuu.n
mujh ko bulvaa.iye sarkaar madiine vaale
apnaa iimaan hai KHatre me.n jahaalat ke sabab
hai karam aap kaa darkaar madiine vaale
me.n to aaqaa hii kahuu.n chaahe munaafiq jo bhii kahe.n
aap hai.n saahib-e-kirdaar madiine vaale
sar ke bal pahu.nche kabhii aap ke rauze pe shamiim
ho karam aap kaa ik baar madiine vaale

- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 134)
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.