sham’-e-dii.n le ke aa.e bahaar-e-ahmad-e-jaajner

Syed Amjad Hussain
MORE BYSyed Amjad Hussain
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت احمد جاجنیری (لکھی سرائے-بہار)
sham'-e-dii.n le ke aa.e bahaar-e-ahmad-e-jaajner
faiz se merii big.Dii sa.nvaar ahmad-e-jaajner
aap rab ke valii diin ke ek raushan charaaG
kyuu.n na ho aap se ham ko pyaar ahmad-e-jaajner
ko.ii kyaa de misaal aap kii ahl-e-fazal-o-kamaal
aap kii aal me.n hai.n hazaar ahmad-e-jaajner
kaise be-raah bhaTke kahii.n jaajnerii kii aal
un kaa markaz hai teraa mazaar ahmad-e-jaajner
aap aal-e-rasuul-e-kHudaa aur rab ke valii
aap par rahmate.n be-shumaar ahmad-e-jaajner
sun lo 'amjad' kii fariyaad ai ahmad-e-jaajner
aa.nkhe.n ab ho ga.ii.n ashk-baar ahmad-e-jaajner

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.