Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ta’abiir-e-shab-e-Gaib shabistaan-e-mohammad

Zaheen Shah Taji

ta’abiir-e-shab-e-Gaib shabistaan-e-mohammad

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    ta'abiir-e-shab-e-Gaib shabistaan-e-mohammad

    val-fajr tuluu-e'-ruKH-e-taabaan-e-mohammad

    hai ko.ii jo dekhe ruKH-e-taabaan-e-mohammad

    har dam nigah-e-haq hai nigahbaan-e-mohammad

    ye 'aalam-e-arvaah ye barzaKH ye shahaadat

    kuchh bhii nahii.n juz-husn-e-kHiraamaan-e-mohammad

    har aan na.ii shaan me.n allaah numaayaa.n

    har aan hai allaah kii shaayaan-e-mohammad

    gul ho ki saman ho ki vo kHushbuu-e-jinaa.n ho

    minnat-kash-e-yak jumbish-e-daamaan-e-mohammad

    allaah ne kyaa kyaa hame.n jalve na dikhaa.e

    har jalva-numaa.n thaa ba-'unvaan-e-mohammad

    ye vus'at-e-kaunain mirii tarh 'zahiin' aaj

    haazir hai tah-e-gosha-e-daamaan-e-mohammad

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abdullah Manzoor Niyazi

    Abdullah Manzoor Niyazi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now