Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

'arab un kaa 'ajam un kaa hai.n saare bostaa.n un ke

Taha Aziz

MORE BYTaha Aziz

    'arab un kaa 'ajam un kaa hai.n saare bostaa.n un ke

    sabhii un bostaano.n me.n hai.n bulbul naGma-KHvaa.n un ke

    unhii.n kaa ra.ng zaahir hai chaman me.n laala-o-gul se

    faqat laala-o-gul kyaa hai.n saare gulsitaa.n un ke

    sabhii zarro.n ke maalik hai.n har ek qatra unhii.n kaa hai

    zamii.n aur aasmaa.n sab kuchh makaan-o-laa-makaa.n un ke

    vo hii to jaavedaa.n hai.n aur unhii.n se jaavedaanii hai

    jahaa.n bhar ke tamaam 'aashiq sabhii hai.n jaavedaa.n un ke

    KHudaa hii un ko jaane hai KHudaa hii un ko samjhe hai

    hamaare to gumaa.n ko bhii nahii.n hai.n kuchh gumaa.n un ke

    are taahaa tere bas kii nahii.n hai ye madh-kHvaanii

    qur.aan-e-paak karataa hai bayaa.n un ke bayaa.n un ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now