tazkira suniye ab un kaa dil-e-bedaar ke saath

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Interesting Fact
مناقب اہلِ بیت۔
tazkira suniye ab un kaa dil-e-bedaar ke saath
jin kaa zikr aataa hai aksar shah-e-abraar ke saath
sirf zainab kaa vo KHutba sar-e-darbaar na thaa
ro’b haidar kaa bhii thaa jur.at-e-iz.haar ke saath
be.Diyaa.n sadma safar pyaas naqaahat sahraa
zulm kyaa kyaa na hu.e 'aabid-e-biimaar ke saath
haaye kis tarh vo baazaar se guzre ho.nge
naam tak jin kaa na aayaa kabhii baazaar ke saath
ek kam-sin kii vo nannhii-sii lahad kyaa dekhii
ro diye ham to lipaT kar dar-o-diivaar ke saath
de ga.e dars ye ummat ko husainii tevar
sar ko kaTvaa.o magar nashsha-e-pindaar ke saath
ye bajaa tuu hii hadaf thaa sar-e-maqtal lekin
dushmanii asl me.n thii ahmad-e-muKHtaar ke saath
mar ke KHud paa.ii baqaa aur use maar diyaa
tuune kyaa chaal chalii dushman-e-'ayyaar ke saath
ik sakiina ke liye karb kii suulii pe cha.Dhaa
dekhiye daar ko 'abbaas-e-’alm-daar ke saath
mere sajjaad ye dukh kaise bhulaa duu.n teraa
saKHtiyaa.n jhelii.n safar kii tan-e-biimaar ke saath
kar liyaa maslahato.n ne use paaband-e-havas
vaqt kyaa KHaak chalegaa terii raftaar ke saath
aal-e-zahraa kaa sunaa hai ki sanaa-KHvaa.n hai 'nasiir'
aa.iye milte hai.n us shaa'ir-e-darbaar ke saath

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.