Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

har shai me.n dekhtaa hai jalva abul-ola kaa

Shah Akbar Danapuri

Interesting Fact

منقبت در شان حضرت سیدنا امیر ابوالعلا

har shai me.n dekhtaa hai jalva abul-ola kaa

rakhtaa hai aur aa.nKHe.n shaidaa abul-ola kaa

kis mulk me.n nahii.n hai charchaa abul-ola kaa

pahuu.nchaa hai shash-jihat me.n shohra abul-ola kaa

maile me.n lutf dekhaa tanhaa.ii kaa usii jaa

KHalvat hai anjuman me.n kuucha abul-ola kaa

us ke sivaa phir us ko kuchh bhii nazar na aayaa

jis aa.nkh me.n samaayaa rauza abul-ola kaa

hai intihaa se ba.Dh kar josh-o-KHarosh apnaa

us dil me.n maujzan hai dariyaa abul-ola kaa

kyuu.nkar ko.ii samaa.ae apnii nazar me.n yaaro

in aa.nkho.n ne hai dekhaa jalva abul-ola kaa

puuchhaa jamaal-e-haq kaa murshid se mai.n ne huliya

farmaayaa dekh lo tum naqsha abul-ola kaa

jab aa.nKHe.n band karke dekhaa usii ko paayaa

siine me.n dil banaa hai rauza abul-ola kaa

'akbar' mai.n aap apnii aa.nkho.n kaa shefta huu.n

dekhaa hai mai.n ne un se rauza abul-ola kaa

Source :
  • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 84)
  • Author :Shah Akbar Danapuri
  • Publication : Shaukat Shahjahani, Agra (1896)
  • Edition : First

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now