usii se hai mujhe haasil visaal KHvaaja kaa
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین حسن چشتی (اجمیر۔ہندوستان)
usii se hai mujhe haasil visaal KHvaaja kaa
lagaa hu.aa hai jo dil se KHayaal KHvaaja kaa
rasuul-e-paak kii tasviir hai.n Gariib-navaaz
mirii nazar me.n hai husn-o-jamaal KHvaaja kaa
zabaan-o-dil me.n to ufuq kii shaan to dekho
judaa kabhii na rahaa haal-o-qaal KHvaaja kaa
kisii kii aa.nkho.n kaa nuur aur kisii ke dil kaa suruur
maze kii chiiz banaa paa.emaal KHvaaja kaa
ajiib Gariib-navaazii kii shaan hai 'kaamil'
bitaa.uu.n kyaa karam be-misaal KHvaaja kaa

- Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.