tire sadqa tire qurbaan mire pyaare KHvaaja
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
tire sadqa tire qurbaan mire pyaare KHvaaja
rab ke manzuur mohammad ke dulaare KHvaaja
aap ke dard-e-judaa.ii ke hai.n maare KHvaaja
nigah lutf ke ham par bhii ishaare KHvaaja
shaah ho yaa ki gadaa yaa ho tuvaa.ngar ki Gariib
hind me.n jitne hai.n sab tere sahaare KHvaaja
dono.n 'aalam me.n na kyuu.n paar ho be.Daa apnaa
dast-giirii pe jab apnii hai.n hamaare KHvaaja
abtar-o-kHasta pa.Daa huu.n mai.n dar-e-'aalii par
mere big.De hu.e kaamo.n ko sa.nvaar ai KHvaaja
jab ki fariyaad-rassii hai tirii mash.huur-e-jahaa.n
kyuu.n na mushkil me.n har ek tujh ko pukaare KHvaaja
us pe maanind-e-shafaq raaz-e-haqiiqat khul jaa.e
chashm-e-dil se jo kare tare nazaare KHvaaja

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.