ko.ii saliiqa hai aarzuu kaa na bandagii merii bandagii hai

Khalid Mahmood Naqshbandi
MORE BYKhalid Mahmood Naqshbandi
ko.ii saliiqa hai aarzuu kaa na bandagii merii bandagii hai
ye sab tumhaaraa karam hai aaqaa ki baat ab tak banii hu.ii hai
kisii kaa ehsaan kyuu.n uThaa.e.n kisii ko haalaat kyuu.n bataa.e.n
tumhii.n se maa.nge.nge tum hii doge tumhaare dar se hii lau lagii hai
tajalliyo.n ke kafiil tum ho muraad-e-qalb-e-KHaliil tum ho
KHudaa kii raushan daliil tum ho ye sab tumhaarii hii raushnii hai
tumhii.n ho ruuh-e-ravaan-e-hastii sukuu.n nazar kaa dilo.n kii mastii
hai do jahaa.n kii bahaar tum se tumhii.n se phuulo.n me.n taazgii hai
shu’uur-o-fikr-o-nazar ke daa’ve had-e-ta'ayyun se ba.Dh na paa.e
na chhuu sake un bulandiyo.n ko jahaa.n maqaam-e-mohammadii hai
nazar-nazar rahmat-e-saraapaa adaa-adaa Gairat-e-masiihaa
zamiir murda bhii jii uThe hai.n jidhar tumhaarii nazar uThii hai
'amal kii mere asaas kyaa hai ba-juz nadaamat ke paas kyaa hai
rahe salaamat tumhaarii nisbat miraa to ik aasraa yahii hai
'ataa kiyaa mujh ko dard-e-ulfat kahaa.n thii ye pur-KHataa kii qismat
mai.n us karam ke kahaa.n thaa qaabil huzuur kii banda-parvarii hai
unhii ke dar se KHudaa milaa hai unhii.n se us kaa pata chalaa hai
vo aa.iina jo KHudaa-numaa hai jamaal-e-husn huzuur hii hai
bashiir kahiye naziir kahiye unhe.n siraaj-e-muniir kahiye
jo sar-ba-sar hai kalaam-e-rabbii vo mere aaqaa kii zindagii hai
ham apne a'amaal jaante hai.n ham apnii nisbat se kuchh nahii.n hai.n
tumhaare dar kii 'aziim nisbat mataa’-e-'azmat banii hu.ii hai
yahii hai ’aasim asaas-e-rahmat yahii hai 'KHaalid' binaa-e-’azmat
nabii kaa ’irfaan-e-zindagii hai nabii kaa ’irfaan-e-bandagii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.