saabarii gulshan me.n bahaar aa.ii
saabarii gulshan me.n bahaar aa.ii
Gunche khilne lage gul mahakne lage
rahmato.n kii ghaTaa.e.n bhii chhaane lagii
nuur kii buu.ndaa-baandii bhii hone lagii
kyaa shajar kyaa hajar kyaa hai shams-o-qamar
huur-o-Gilmaa.n malaa.ek kyaa jinn-o-bashar
yuu.n sahar-shaam KHushiyaa.n manaane lage
ye idhar vo udhar aane jaane lage
shaamiyaane se qudsii hai.n jaane lage
nuur ke qumqume jagmagaane lage
mai-e-’irfaa.n kii naddiyaa.n hai saabir Gulaam
saik.Do.n Gota-zan us me.n hai.n sub.h-shaam
tum bhii aa.o 'Gulaam' ab aa jaa.o
aa ki saabir se sabr tho.Daa maa.ng lo

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.