'aashiqaan-e-zaat-e-haq kaa mudda.aa kaliyar me.n hai

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Interesting Fact
منقبت درشان صابر پاک حضرت علی احمد (کلیر۔اترا کھنڈ)
'aashiqaan-e-zaat-e-haq kaa mudda.aa kaliyar me.n hai
Gaus-e-aa'zam kaa sajiilaa dil-rubaa kaliyar me.n hai
raushnii kii ek nuuraanii fazaa kaliyar me.n hai
jalva-gar saabir hai sham-e’-mustafaa kaliyar me.n hai
saabarii mai-KHaane me.n baTtii hai irfaa.n kii sharaab
vaaqa.'ii piine pilaane kaa mazaa kaliyar me.n hai
hai bahaar-afzaa ’alaauddiin saabir kaa jamaal
ye madiine kaa shajar phuulaa phalaa kaliyar me.n hai
har nafs dil par alam-nashrah hu.e jaate hai.n raaz
ma.arifat kii aisii paakiiza fazaa kaliyar me.n hai
diida-o-dil hairatii hai.n dekh kar jalvo.n kaa haal
kyaa bataa.uu.n puuchhne vaalo.n se kyaa kaliyar me.n hai
kashtii-e-ahl-e-safaa se duur hai mauj-e-balaa
bahr-e-irfaan-e-KHudaa kaa naa-KHudaa kaliyar me.n hai
jaa-bajaa dhuunii ramaa.e baiThe hai.n ahl-e-talab
vo mazaa kaashii me.n kab hai jo mazaa kaliyar me.n hai
jalva-gar hai.n kaakii-o-ga.nj-e-shakar sultaan-e-hind
delhii-o-ajmer kaa raushan diyaa kaliyar me.n hai
jo talaash-e-haq me.n sar-gardaa.n hai.n vo aa.e.n idhar
jo KHudaa tak le chale vo baa-KHudaa kaliyar me.n hai
qasr-e-baatil kyuu.n na KHaakistar ho us kii aa.nch se
sho'la-e-jaah-o-jalaal-e-murtazaa kaliyar me.n hai
dekh lo KHud apnii aa.nkho.n se vahaa.n jaa kar 'nasiir'
jalva-e-haq kii tajallii jaa-bajaa kaliyar me.n hai

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 370)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.