vo kaun sub.h savere jahaa.n me.n aayaa hai

Tufail Ahmad Misbahi
MORE BYTufail Ahmad Misbahi
vo kaun sub.h savere jahaa.n me.n aayaa hai
ki jis ke aane se KHilqat kaa ra.ng nikhraa hai
vo kisht-e-aarzuu phir ban ga.ii hai rashk-e-bahaar
nabii kaa abr-e-karam jis pe tho.Daa barsaa hai
nabii ke lutf-o-'inaayat kii jab hu.ii baarish
chaman muraado.n kaa phir kHuub kHuub lahkaa hai
rasuul-e-paak kii mid.hat-nigaarii ke sadqe
bulandiyo.n pe mire baKHt kaa sitaaraa hai
rasaa.ii servar-e-kaunain kii jahaa.n tak hai
kahaa.n KHayaal vahaa.n tak kisii kaa pahu.nchaa hai
KHudaa kaa shukr hai fikr-o-nazar kii vaadii me.n
tuyuur-e-mid.hat-e-sarkaar kaa baseraa hai
madiina dekh ke mahsuus bas ye hotaa hai
bahaar-e-KHuld-e-barii.n kaa hasiin naqsha hai
jamaal-e-gumbad-e-kHazraa basaa.e aa.nkho.n me.n
hiraa-e-fikr me.n kis kaa KHayaal utraa hai
karam kii fauj utar aa.ii hai madiine se
madad ke vaaste jab bhii unhe.n pukaaraa hai
rasuul-e-paak kii siirat ke nuur se raushan
jahaan-e-’ilm-o-tamaddun kaa gosha-gosha hai
muhaal Thahre bhalaa kyuu.n na mustafaa kii naziir
KHudaa.e yak ne yagaana unhe.n banaayaa hai
hayaat-e-jaavedaa.n us ko milii hai duniyaa me.n
nabii ke naam pe jis ne bhii sar kaTaayaa hai
KHudaa ne maalik-e-kaunain hai banaayaa unhe.n
har ek shai pe do-'aalam kii un kaa qabza hai
ko.ii bhii manzar pur-kaif mujh ko jachtaa nahii.n
KHayaal-o-fikr me.n jab se mire madiina hai
'tufail' kyuu.n na kare phir nabii kii mad.h-o-sanaa
KHudaa ne mad.h me.n qur.aan jab utaaraa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.