un ke naaKHun par fidaa jaa.n kiijiye
un ke naaKHun par fidaa jaa.n kiijiye
aur maah-e-'iid qurbaa.n kiijiye
jaan kyaa hai aur maah-e-'iid kyaa
yaa.n fidaa mulk-e-sulemaa.n kiijiye
un ke naaKHun kaa taraashaa gar mile
jeb-e-jaa.n me.n us ko pinhaa.n kiijiye
aur roz-e-hashr ho jab aashakaar
pesh us ko pesh-e-yazdaa.n kiijiye
sahn-e-mahshar 'iid-gaah-e-maGfirat
az baraa-e-ahl-e-'isyaa.n kiijiye
saahib-e-laulaak kii ummat hai.n ham
aaj ham par bazl-e-Gufraa.n kiijiye
tujh ko likhnaa hai sarapaa-e-nabii
kaafii-e-maddaah saamaa.n kiijiye
un ke naaKHun par fidaa jaa.n kiijiye
aur maah-e-'iid qurbaa.n kiijiye
jaan kyaa hai aur maah-e-'iid kyaa
yaa.n fidaa mulk-e-sulemaa.n kiijiye
un ke naaKHun kaa taraashaa gar mile
jeb-e-jaa.n me.n us ko pinhaa.n kiijiye
aur roz-e-hashr ho jab aashakaar
pesh us ko pesh-e-yazdaa.n kiijiye
sahn-e-mahshar 'iid-gaah-e-maGfirat
az baraa-e-ahl-e-'isyaa.n kiijiye
saahib-e-laulaak kii ummat hai.n ham
aaj ham par bazl-e-Gufraa.n kiijiye
tujh ko likhnaa hai sarapaa-e-nabii
kaafii-e-maddaah saamaa.n kiijiye
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.