dar-e-panjtan kaa nazaara qalandar
Interesting Fact
منقبت در شان شہباز قلندر حضرت عثمان مروندی (پاکستان)
dar-e-panjtan kaa nazaara qalandar
'alii murtazaa kaa dulaaraa qalandar
adab se nazar ko jhukaa le bashar to
yahaa.n maraz-e-Gam ko miTaa le bashar to
Gariibo.n ke dil kaa sahaaraa qalandar
dar-e-panjtan kaa nazaara qalandar
qalandar ke ma’aanii sikandar bane hai.n
jo qatre the vahii samandar bane hai.n
kiyaa Duubte ko kinaaraa qalandar
dar-e-panjtan kaa nazaara qalandar
sub.h-o-shaam dil ye pukaare qalandar
diye gardisho.n me.n sahaare qalandar
hai rahbar jahaa.n kaa hamaaraa qalandar
dar-e-panjtan kaa nazaara qalandar
dar-e-panjtan kaa nazaara qalandar
'alii murtazaa kaa dulaaraa qalandar
adab se nazar ko jhukaa le bashar to
yahaa.n maraz-e-Gam ko miTaa le bashar to
Gariibo.n ke dil kaa sahaaraa qalandar
dar-e-panjtan kaa nazaara qalandar
qalandar ke ma’aanii sikandar bane hai.n
jo qatre the vahii samandar bane hai.n
kiyaa Duubte ko kinaaraa qalandar
dar-e-panjtan kaa nazaara qalandar
sub.h-o-shaam dil ye pukaare qalandar
diye gardisho.n me.n sahaare qalandar
hai rahbar jahaa.n kaa hamaaraa qalandar
dar-e-panjtan kaa nazaara qalandar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.