janaab-e-saabir bane hai.n duulhaa rachii hai sabr-o-razaa kii meh.ndii
Interesting Fact
منقبت در شان صابر پاک شیخ علاؤالدین علی احمد (کلیر-اتراکھنڈ)
janaab-e-saabir bane hai.n duulhaa rachii hai sabr-o-razaa kii meh.ndii
nahii.n hai muhtaaj-e-vasf imlaa ye baaG-e-sidq-o-safaa kii meh.ndii
bane hai.n maKHduum aaj duulhaa to le kar aa.e fariid baabaa
hasab kaa sehraa nasab kaa ka.ngnaa sharaf kii baddhii valaa kii meh.ndii
kahaa.n kaa laala kahaa.n kaa hai gul tu bhuul jaa.e chaman ko bulbul
jo aa ke kaliyar me.n dekh jaa.e riyaaz-e-faiz-o-'ataa kii meh.ndii
bataa.e.n kyaa hai ye kaisii meh.ndii ki aisii meh.ndii na ham ne dekhii
dilo.n pe ra.ng us ne hai jamaayaa ye meh.ndii hai ik balaa kii meh.ndii
hu.aa huzuurii me.n aa ke haazir banaa huu.n dil se Gulaam-e-saabir
'dabiir' aa.ii hai haath jab kuchh ye baaG-e-mushkil-kushaa kii meh.ndii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.