KHaaliq ne mujh ko Gaus kaa shaidaa banaa diyaa
Interesting Fact
منقبت در شان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
KHaaliq ne mujh ko Gaus kaa shaidaa banaa diyaa
so.e hu.e nasiib ko pal me.n jagaa diyaa
bhaTke hu.e ko raasta siidhaa dikhaa diyaa
rahzan ko mere Gaus ne rahbar banaa diyaa
rakh kar qadam rasuul ne shaane pe Gaus ke
sab auliyaa kaa aap ko sultaa.n banaa diyaa
daaKHil na hogii mushkile.n ghar me.n yaqiin hai
ghar par jo mai.n ne Gaus kaa jhanDaa lagaa diyaa
pii kar na duudh aap ne kii sab kii rahbarii
maah-e-siyaam hone kaa sab ko pataa diyaa
‘haaruun’ shaah-e-jiilaa.n kii nisbat kaa faiz hai
jiine kaa har hunar hame.n jis ne sikhaa diyaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.