Font by Mehr Nastaliq Web

us ke rukH-e-sabiih par zulfe.n mushk-faam do

Ghulam Imam Shaheed

MORE BYGhulam Imam Shaheed

    us ke rukH-e-sabiih par zulfe.n mushk-faam do

    qudrat-e-haq ye dekhiye ek sahr hai shaam do

    kaa'ba-o-'arsh bhii maqaam us ko mile hai.n do maqaam

    baada hai ek jaam do ek havaa hai jaam do

    ek hadiis-e-mustafaa duusraa mus.haf-e-KHudaa

    diin ke liye hai.n rahnumaa kaafii hai.n ye kalaam do

    haq ne use kiyaa salaam us ne hame.n diyaa salaam

    ham ne bhii le liyaa salaam shauq se ye salaam do

    maz.har-e-nuur-e-kibriyaa ko.ii nahii.n tire sivaa

    teG jab ek ho bhalaa us ke ho.n kab niyaam do

    ek nabii ke haath se ek 'alii ke haath se

    kausar-e-salsabiil ke ham ko mile.nge jaam do

    kyaa hii hasan husain kaa husn dekh lo zaraa

    merii to aa.nkho.n kii ziyaa putliyaa.n hai.n imaam do

    aaj 'shahiid'-e-be-navaa pa.Dhtaa hai naa't-e-mustafaa

    jam' ho.n KHaas-o-'aam do sab ko yahii payaam do

    Source :
    • Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 32)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now