Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

vo nabii kaun yaa'nii hamaaraa nabii

Unknown

vo nabii kaun yaa'nii hamaaraa nabii

Unknown

MORE BYUnknown

    Interesting Fact

    بھیروین نعت

    KHaas dast-e-KHudaa kaa sa.nvaaraa nabii

    aasmaan-e-risaalat kaa taaraa nabii

    nuur-e-zaat-e-ahad 'aalam-aaraa nabii

    kHaatim-ul-ambiyaa haq kaa pyaaraa nabii

    vo nabii kaun yaa'nii hamaaraa nabii

    sab se pahle paiGambar the aadam safii

    shiis ko baa'd un ke nubuvvat milii

    chaa.nd badlii se niklaa hamaaraa nabii

    haq ne sab ko diyaa mo'jiza ek ek

    sab ne zaahir kiyaa mo.ajiza ek ek

    sab se saadir hu.aa mo'jiza ek ek

    har nabii ko milaa mo'jiza ek ek

    mo'jiza ban ke aayaa hamaaraa nabii

    apnaa paa ke Thikaanaa makii.n rah ga.e

    sidrat-ul-muntahaa ke qarii.n rah ga.e

    aage jaane se ruuh-ul-amii.n rah ga.e

    aasmaano.n hii pe sab nabii rah ga.e

    'arsh-e-a.alaa pe pahu.nchaa hamaaraa nabii

    KHaas dast-e-KHudaa kaa sa.nvaaraa nabii

    aasmaan-e-risaalat kaa taaraa nabii

    nuur-e-zaat-e-ahad 'aalam-aaraa nabii

    kHaatim-ul-ambiyaa haq kaa pyaaraa nabii

    vo nabii kaun yaa'nii hamaaraa nabii

    sab se pahle paiGambar the aadam safii

    shiis ko baa'd un ke nubuvvat milii

    chaa.nd badlii se niklaa hamaaraa nabii

    haq ne sab ko diyaa mo'jiza ek ek

    sab ne zaahir kiyaa mo.ajiza ek ek

    sab se saadir hu.aa mo'jiza ek ek

    har nabii ko milaa mo'jiza ek ek

    mo'jiza ban ke aayaa hamaaraa nabii

    apnaa paa ke Thikaanaa makii.n rah ga.e

    sidrat-ul-muntahaa ke qarii.n rah ga.e

    aage jaane se ruuh-ul-amii.n rah ga.e

    aasmaano.n hii pe sab nabii rah ga.e

    'arsh-e-a.alaa pe pahu.nchaa hamaaraa nabii

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now