sa.ng-e-dar-e-habiib hai aur sar Gariib kaa

kis auj par hai aaj sitaara nasiib kaa
phir kis liye hai mere gunaaho.n kaa ehtisaab
jab vaasta diyaa hai tumhaare habiib kaa
raah-e-firaaq me.n bhii rafiiq-e-safar rahaa
zaKHm-e-jigar ne kaam kiyaa hai tabiib kaa
ye baargaah-e-husn-e-do-'aalam na ho kahii.n
hai paasbaa.n raqiib yahaa.n kyuu.n raqiib kaa
'vaasif' 'alii talaash kare ab kahaa.n tujhe
duurii ko jab hai tujh se ta'alluq qariib kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.