diidaar-e-zaat-e-paak hai chehra huzuur kaa

kaa'be se kam nahii.n hai madiina huzuur kaa
aahuu ko chashm sarv ko qaamat hu.ii nasiib
phuulo.n ko mil gayaa hai pasiina huzuur kaa
duniyaa me.n sab ke vaaste rahmat hai aap kii
mahshar me.n sab ke vaaste saaya huzuur kaa
shams-o-qamar me.n mere nabii kii hai raushnii
muusaa ne dekhaa tuur par jalva huzuur kaa
taare bichhaa ke raah me.n asraa kii raat ko
allaah ne bhii dekhaa hai rasta huzuur kaa
qausain se bhii aage hai me'araaj-e-mustafaa
raste me.n ik maqaam hai sidrah huzuur kaa
'vaasif' kise KHabar hai nabii ke maqaam kii
jibriil-saa farishta hai barda huzuur kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.