naazish-e-ahl-e-sunan maKHduum-e-dauraa.n aap hai.n

Wasif Raza Wasif
MORE BYWasif Raza Wasif
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت مخدوم شہباز محمد (بھاگل پور۔بہار)
naazish-e-ahl-e-sunan maKHduum-e-dauraa.n aap hai.n
haamil-e-izz-o-sharf mahbuub-e-ziishaa.n aap hai.n
marja.a-e-ahl-e-aqiidat aap kaa darbaar hai
takiya-gaah muflis-o-kHail-e-Gariibaa.n aap hai.n
jis kii taabish se munavvar hai jahaan-e-sunniyat
vo samaa.ae rushad kaa mahr-e-daraKHshaa.n aap hai.n
suurat-e-harf-e-jalii likhaa hai lauh-e-ishq par
yaadgaar-e-surKHii-e-KHuun-e-shahiidaa.n aap hai.n
aashiq-e-shaah-e-madiina ke liye zill-e-karam
shaatim-e-aaqaa kii KHaatir saif-e-burraa.n aap hai.n
ai piyaa shahbaaz ai taabaanii-e-bazm-e-tuqaa
fazl-e-rab se aashnaa-e-raah-e-irfaa.n aap hai.n
har gha.Dii hotaa rahegaa aap kaa zikr-e-jamiil
jaan-e-mahfil jaan-e-gul jaan-e-bahaaraa.n aap hai.n
aaKHirash 'vaasif' razaa ye kah ke rakhtaa hai qalam
vaaris-e-alam-e-shahanshaah-e-rasuulaa.n aap hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.