yuu.n ambiyaa hai.n mere payambar ke saamne

taare ho.n jis tarah mah-e-anvar ke saamne
zaahid ko qasr-e-KHuld mubaarak ho yaa-nabii
bistar faqiir kaa ho tire ghar ke saamne
dekhaa hai jis ne qaamat-e-hazrat vo kahtaa hai
gulshan me.n KHaak jaa.uu.n sanobar ke saamne
jis murde ko na hazrat-e-'iisaa jilaa sake.n
le aa.o uus ko mere payambar ke saamne
kuchh to samajh liyaa hai jo dil se uThaa ke haath
baiThaa huu.n sar jhukaa.e tire dar ke saamne
ai 'lutf' is Gazal ko madiina me.n chal ke pa.Dh
hai qadar is kii saahib-e-jauhar ke saamne

- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.